Happy Birthday,
Meri jaan.
Khushbu, ye chhota-sa surprise sirf tumhare liye hai.
Har cheez mein thoda-sa pyaar chhupaya hai. 🌸
Tumhari feelings
mere liye maayne rakhti hain.
Pata hai, aajkal hum thodi kam baat kar rahe hain… par tum mere liye aaj bhi utni hi special ho. 🥹❤️ Main bas chahta hoon ki hum ek-doosre ko samjhein, bina kisi pressure ke. Tumhari smile aur tumhara sukoon mere liye matter karta hai, Kishu. ♡
Kabhi chaand tumhara naam le, toh hairaan mat hona… main har raat usse tumhari baatein karta hoon. 🌙♡
Gift chhota hai,
par pyaar bilkul nahi.
Meri jaan, is baar bhi tumhe gift nahi de paaya. Abhi kamata nahi hoon, warna tumhari pasand ki cheez sabse pehle tumhare liye leta. Dil se chahta hoon ki tumhe woh sab doon jo tumhe khush kare, Babu.
Meri dua hai tumhari zindagi sukoon, khushiyon aur pyaar se bhari rahe. Gift na de paana meri majboori hai, tumhari kadar karna nahi—woh main har din karna chahta hoon. ❤️
Ek-ek karke kholo, Babu 🎀
Pehle araam se padhna, phir surprise kholna. Har cheez apni baari par aayegi. 💗
Pehle gift kholo, meri Kishu 💗
Abhi meri Kishu ka mood kaisa hai?
Jo dil kahe, wahi chunna. 💗